na aasman se na dushman ke zor o zar se hua
ye mojaza to mere dast-e-be-hunar se hua
qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin
safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua
main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein
wo aks aks mein taqsim chashm-e-tar se hua
siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin
sahar ka KHauf hamein aainon ke Dar se hua
koi chale to zamin sath sath chalti hai
ye raaz hum pe ayan gard-e-rahguzar se hua
tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte
guzar hamara kai bar yun to ghar se hua
kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen
guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua
Ghazal
Na aasman se na dushman ke zor o zar se hua
Amjad Islam Amjad