اردو हिंदी
Na aasman ki kahani na wan ka qissa likh | Shaahi Shayari
na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

Ghazal

Na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

Ali Zaheer Lakhnavi

;

na aasman ki kahani na wan ka qissa likh
uTha dawat o qalam aadmi ka chehra likh

hazar shor sameTe hue hai mera wajud
mere wajud ke sahra ko chashm-e-dariya likh

bina-e-mausam-e-gham-ha-e-zat hai duniya
ise tu rashk-e-iram likh ki shaKH-e-tuba likh

wo nur phaila wo phuTi koi kiran taza
tamam umr andhera hi tha na aisa likh

jo maut pi gaya ek jam-e-ambagin ki tarah
use tu maut ki manzil ka ek masiha likh

wo ajnabi to zara ajnabi nahin lagta
use to ghair na kah koi hai wo apna likh

bichhaD gaya hai to kya sath bhi to tha barson
'zahir' ruh o badan ka use tu rishta likh