اردو हिंदी
Na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal | Shaahi Shayari
na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal

Ghazal

Na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal

Javed Lakhnvi

;

na aarzu-e-jafa ba-qadam nikal ke chal
paDe hain rah mein kuchh dil bhi dekh bhaal ke chal

chala jo hashr mein main sun ke aamad-e-jaanan
ye iztirab pukara ki dil sambhaal ke chal

are ye hashr mein hain sainkaDon tere mushtaq
yahan pe hum bhi hain raazi naqab Dal ke chal

adam ka qasd hai bahr-e-jahan se gar 'jawed'
hisab-dar zamane ko dekh bhaal ke chal