na aansuon mein kabhi tha na dil ki aah mein hai
tamash-bin hamesha se raqs-gah mein hai
ba-nam-e-ishq meri zindagi tere qurban
magar nasib mera be-talab nibah mein hai
main jaanta hun ki hai kis ki aankh ka aansu
wo ek lal jo ab tak meri kulah mein hai
dilon ke rishte hain sab alwida'i manzil mein
ki na-guzir aziyyat har ek chah mein hai
namaz-e-id kai sal se na paDh paya
ba-nam-e-maut koi KHauf eid-gah mein hai
ye meri fikr nae daur ki amanat hai
ki aane wali sadi bhi meri nigah mein hai
ye ittifaq bhi ek inhiraf hai goya
mera 'zamir' abhi tak meri panah mein hai
Ghazal
Na aansuon mein kabhi tha na dil ki aah mein hai
Zameer Kazmi