اردو हिंदी
Na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai | Shaahi Shayari
na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai

Ghazal

Na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai

Wazir Agha

;

na aankhen hi jhapakta hai na koi baat karta hai
bas ek aansu ke dane par basar-auqat karta hai

shajar ke tan mein gahra zaKHm hai koi wagarna yun
zamin par sabz patton ki koi barsat karta hai

wo jab chahe bujha deta hai shamen bhi sitare bhi
nagar sara supurd-e-panja-e-zulmat karta hai

wo apni baat se sad-chaak karta hai mera sina
phir apni baat ki ta-der tawilat karta hai

wo apni umr ko pahle piro leta hai Dori mein
phir us ke baad ginti umr ki din raat karta hai