na aane ke un ke bahane bhi dekhe
baDe sang-dil wo zamane bhi dekhe
udhar bulbulen ro rahi hain qafas ko
ki sayyaad gate tarane bhi dekhe
ghamon ko bhulane jo nikle hain ghar se
isi dhun mein kuchh baada-KHane bhi dekhe
na paya unhen ho ke mayus lauTe
sabhi hum ne un ke Thikane bhi dekhe
kabhi aaega waqt 'mahtab' apna
bahut hum ne un ke zamane bhi dekhe
Ghazal
Na aane ke un ke bahane bhi dekhe
Bashir Mehtaab