اردو हिंदी
Na aae samne mere agar nahin aata | Shaahi Shayari
na aae samne mere agar nahin aata

Ghazal

Na aae samne mere agar nahin aata

Zain-ul-Abideen Khan Arif

;

na aae samne mere agar nahin aata
mujhe to us ke siwa kuchh nazar nahin aata

bala use bhi to kahte hain log aalam mein
ajab hai kis liye wo mere ghar nahin aata

wo mere samne tuba ko qad se map chuke
unhon ke nam-e-KHuda ta-kamar nahin aata

na be-KHatar raho mujh se ki dard-mandon ke
labon pe nala koi be-KHatar nahin aata

Dara diya hai kisi ne use magar 'arif'
mere KHarabe ki jaanib KHizar nahin aata