na aa jae kisi par dil kisi ka
na ho yarab koi mail kisi ka
laga ek hath bhi kya dekhta hai
kahin karte hain Dar qatil kisi ka
ada se us ne do baaten bana kar
kisi ki jaan le li dil kisi ka
uTha jab dard-e-pahlu dil pukara
nahin koi dam-e-mushkil kisi ka
abhi jina paDa kuchh din hamein aur
Tala phir wada-e-baatil kisi ka
bahut aahista chilman ko uThana
milen aankhen ki baiTha dil kisi ka
'hafiz' is tarah bharte ho jo aahen
dukhaoge magar tum dil kisi ka
Ghazal
Na aa jae kisi par dil kisi ka
Hafeez Jaunpuri