muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho
aa gai kyun aag ki barsat suraj se kaho
hum hain aur shoalon ki lapTen baDh rahi hain har taraf
kya hui wo chhanw ki ek baat suraj se kaho
nachte hain ye bhayanak sae aaKHir kis liye
zer-e-lab kya kah rahi hai raat suraj se kaho
ek tapta dasht hai aur sath koi bhi nahin
kis safar mein hai akeli zat suraj se kaho
rengte hain nag andeshon ke sanson mein yahan
Dhalne mein aati nahin hai raat suraj se kaho
zoam hone ka raha ek umr hum ko aur aaj
jal gae sab dhup mein jazbaat suraj se kaho
Ghazal
Muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho
Ahmad Hamdani