muztarib hain sabhi taqdir badalne ke liye
koi aamada ho shoalon pe bhi chalne ke liye
aaj ke daur mein jina koi aasan nahin
waqt milta hai kahan gir ke sambhalne ke liye
zindagi hum ko qaza se to Daraati kyun hai
hum to har-waqt hi tayyar hain chalne ke liye
raaz kyun sare zamane pe ayan karte ho
aansuo zid na karo ghar se nikalne ke liye
ab ke ruThe to sanam tum ko manaenge nahin
hum bhi tayyar hain ab KHud ko badalne ke liye

Ghazal
Muztarib hain sabhi taqdir badalne ke liye
Shagufta Yasmeen