muztarib aashiq-e-be-jaan na hua tha so hua
murgh-e-taswir par-afshan na hua tha so hua
shukr hai jame se bahar wo hua ghussa mein
jo ki parde mein bhi uryan na hua tha so hua
ishq-e-ruKHsar-e-kitabi ne baDhai izzat
juzw-e-dil para-e-quran na hua tha so hua
jalwa yaqut ki bijli ka hua baalon mein
shab-e-gesu mein charaghan na hua tha so hua
dagh-e-pinhan tere aane se hua afsurda
gul charagh-e-tah-e-daman na hua tha so hua
ulfat us aariz-e-simin ki gulu-gir hui
nuqrai tauq-e-gareban na hua tha so hua
le gaya kaun aqiq-e-lab-e-jaan-baKHsh ki aab
KHushk-lab chashma-e-haiwan na hua tha so hua
dasht-e-wahshat mein baha KHun-e-kaf-e-pa koson
surKH daman-e-bayaban na hua tha so hua
apni aatish-qadami bhi hai tilism-e-taza
baiza-e-abla biryan na hua tha so hua
aap ne mast kiya KHun-e-jawanan-e-chaman
zar-e-gul ganj-e-shahidan na hua tha so hua
hukm-e-wala se 'munir' abr-e-tabiat apna
is ghazal mein guhar-afshan na hua tha so hua
Ghazal
Muztarib aashiq-e-be-jaan na hua tha so hua
Muneer Shikohabadi