اردو हिंदी
Muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai | Shaahi Shayari
muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai

Ghazal

Muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai

Mirza Ghalib

;

muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai
dam-e-KHali qafas-e-murgh-e-giraftar ke pas

jigar-e-tishna-e-azar tasalli na hua
ju-e-KHun hum ne bahai bun-e-har KHar ke pas

mund gain kholte hi kholte aankhen hai hai
KHub waqt aae tum is aashiq-e-bimar ke pas

main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle
dashna ek tez sa hota mere gham-KHwar ke pas

dahan-e-sher mein ja baiThe lekin ai dil
na khaDe ho jiye KHuban-e-dil-azar ke pas

dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai
KHud-ba-KHud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas

mar gaya phoD ke sar 'ghaalib'-e-wahshi hai hai
baiThna us ka wo aa kar teri diwar ke pas