mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage
log apni zat ke andar safar karne lage
manjhiyon ke git sun kar aa gaya dariya ko josh
sahilon pe raqs tezi se bhanwar karne lage
baDh gaya hai is qadar ab surKH-ru hone ka shauq
log apne KHun se jismon ko tar karne lage
bandh de shaKHon se tu miTTi ke phal kaghaz ke phul
ye taqaza rah mein ujDe shajar karne lage
ganw mein kachche gharon ki qimaten baDhne lagin
shahr se naql-e-makani ahl-e-zar karne lage
jaise har chehre ki aankhen sar ke pichhe aa lagin
sab ke sab ulTe hi qadmon se safar karne lage
ab paDhe-likkhe bhi 'sajid' aa ke bekari se tang
shab ko diwaron pe chaspan poster karne lage
Ghazal
Mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage
Iqbal Sajid