mustarad ho gaya jab tera qubula hua main 
yaad kya aaunga is tarah se bhula hua main 
baat mujh mein bhi kuchh is tarah ki hogi jo yahan 
kabhi wapas hi na hota tha wasula hua main 
KHak thi aur hawa thi mere andar bahar 
dasht ek samne tha aur bagula hua main 
nahin marne mein bhi darkar taawun mujh ko 
chhat se apni hi nazar aaunga jhula hua main 
waqt wo tha ki KHad-o-KHal numayan the mere 
ab ye haalat hai ki bas ek hayula hua main 
ye bhi sach hai ki amal mujh pe kisi ne na kiya 
warna kahne ko to mashhur maqula hua main 
ek nahusat hai mere mausamon par chhai hui 
hai yahi wajh ki phalta nahin phula hua main 
phir kisi se bhi girah mujh pe lagai na gai 
koi beDhab hi bahut misra-e-ula hua main 
maut ke sath hui hai meri shadi so 'zafar' 
umr ke aaKHiri lamhat mein dulha hua main
        Ghazal
Mustarad ho gaya jab tera qubula hua main
Zafar Iqbal

