اردو हिंदी
Mustaqil did ki ye shakl nazar aai hai | Shaahi Shayari
mustaqil did ki ye shakl nazar aai hai

Ghazal

Mustaqil did ki ye shakl nazar aai hai

Ram Krishn Muztar

;

mustaqil did ki ye shakl nazar aai hai
dil mein ab aap ki taswir utar aai hai

tu ne kis lutf se chheDa hai unhen mauj-e-nasim
jhum kar zulf-e-siyah ta-ba-kamar aai hai

kah rahe hain teri aankhon ke badalte tewar
ye hansi aaj ba-andaz-e-digar aai hai

zindagi nach ki wo jaan-e-chaman jaan-e-bahaar
dast-e-rangin mein liye saghar-e-zar aai hai

dil ho masrur ki aaghosh-e-KHizan-dida mein phir
lahlahati hui shaKH-e-gul-e-tar aai hai

wo za-sar-ta-ba-qadam husn ki ek aab liye
jagmagati hui manind-e-guhar aai hai

ho na hairan ki andhere hain ujalon ki dalil
sham ke baad hi ai dost sahar aai hai

ban ke gharqab safine ki machalti hui yaad
sina-e-bahar pe ek mauj ubhar aai hai

karam-e-rahbar-e-sadiq ke nisar ai 'muztar'
zindagi saKHt marahil se guzar aai hai