mustaqil dard ka sailab kahan achchha hai
waqfa-e-silsila-e-ah-o-fughan achchha hai
ho na jae mere lahje ka asar zahrila
in dinon munh se nikal jae zaban achchha hai
mujh se mangegi meri aankh gulabi manzar
ho mere hath mein taswir-e-butan achchha hai
jin ke sine mein tassub nahin palta koi
aise logon ke liye sara jahan achchha hai
kitne chaalak hain ye unchi haweli wale
hum se kahte hain ki miTTi ka makan achchha hai
zer-e-lab rengta rahta hai tabassum 'suraj'
is qayamat se to aahon ka dhuan rahta hai
Ghazal
Mustaqil dard ka sailab kahan achchha hai
Suraj Narayan Meher