mustaqil ab bujha bujha sa hai
aaKHir is dil ko ye hua kya hai
tum ko chaha baDa qusur kiya
tum hi batla do ki ab saza kya hai
mang lun un ka dil agar wo kahen
qatl ka tere KHun-baha kya hai
kyun nafas mein kabab ki bu hai
mere sine mein ye jala kya hai
mohr hai sabt qalb-e-waiz par
dagh mathe pe bad-numa kya hai
hazrat-e-dil hain kyun udas udas
na-ummidi ne kuchh kaha kya hai
kafi ek lafz hai huzur-e-KHuda
ye shab-o-roz iltija kiya hai
wahi mango ki ho dua maqbul
yani allah chahta kya hai
dekhiye ye kalam-e-mehdi mein
fikr insan ki intiha kya hai
main ne aankhon se ashk ponchhe the
rang daman pe lal sa kya hai
zat 'mehdi' ki phir ghanimat hai
gar wo achchha nahin bura kya hai
Ghazal
Mustaqil ab bujha bujha sa hai
S A Mehdi