اردو हिंदी
Mustaqbil raushan-tar kahiye | Shaahi Shayari
mustaqbil raushan-tar kahiye

Ghazal

Mustaqbil raushan-tar kahiye

Shaad Aarfi

;

mustaqbil raushan-tar kahiye
lekin aankh mila kar kahiye

barbaadi ko manzar kahiye
kahiye soch samajh kar kahiye

samjhaya tha dekh ke chaliye
kaisi khai Thokar kahiye

dam ghuTne ki baat alag hai
tauq-e-gulu ko zewar kahiye

aansu hain qanun se bahar
gham ki baaten hans kar kahiye

aaina dikhlana hoga
sachchi baaten munh par kahiye

shaiKHi ki bhi had hoti hai
kab tak behtar behtar kahiye