mustaqar ki KHwahish mein muntashir se rahte hain
be-kanar dariya mein lafz lafz bahte hain
sab ulaT-palaT di hain sarf-o-nahw-e-derina
zaKHm zaKHm jite hain lamha lamha sahte hain
yar log kahte hain KHwab ka mazar us ko
az-rah-e-rawayat hum KHwab-gah kahte hain
raushni ki kirnen hain ya lahu andhere ka
surKH-rang qatre jo rauzanon se bahte hain
ye kya bad-mazaqi hai gard jhaDte kyun ho
is makan-e-KHasta mein yar hum bhi rahte hain

Ghazal
Mustaqar ki KHwahish mein muntashir se rahte hain
Sabir