اردو हिंदी
Mustamindan ko sataya na karo | Shaahi Shayari
mustamindan ko sataya na karo

Ghazal

Mustamindan ko sataya na karo

Faez Dehlvi

;

mustamindan ko sataya na karo
baat ko hum se duraya na karo

dil shikanje mein na Dalo mera
zulf ko gundh banaya na karo

husn-e-be-saKHta bhata hai mujhe
surma ankhiyan mein lagaya na karo

tum se mujh dil ko bahut hai ummid
mujh se miskin ko kuDhaya na karo

be-dilan sun na phira do mukhDa
hum se tum aankh churaya na karo

muKHlis apne ko na maro nahaq
haqq-e-iKHlas bhulaya na karo

ishq mein 'faez'-e-shaida mumtaz
is kun sab sath milaya na karo