muskuraati aankhon ko doston ki nam karna
ram aise afsane chhoD do raqam karna
ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain
sara din safar karna sari raat gham karna
sabr ki riwayat mein jabr ki adalat mein
lab kabhi na wa karna sar kabhi na zaKHm karna
main gunahgaron mein sahab-e-tariqat hun
daKHili shahadat par mera sar qalam karna
zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna

Ghazal
Muskuraati aankhon ko doston ki nam karna
Ram Riyaz