muskuraate hue phulon ka araq sab ka hai
un ke jalwon se ayan hai jo sabaq sab ka hai
jis ko paDhne se meri zist ziya-bar hui
us pe tahrir KHuda ki hai waraq sab ka hai
jitni hajat ho miyan utna hi hissa lena
apne atraf ke saman pe haq sab ka hai
muTThiyan bhar ke lahu main ne uchhaala barson
is se tashkil hua rang-e-shafaq sab ka hai
log kis tarah dikhate hain tabassum ki numud
ruh kajlai hai chehra bhi to faq sab ka hai
Ghazal
Muskuraate hue phulon ka araq sab ka hai
Tilak Raj Paras