اردو हिंदी
MuskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se | Shaahi Shayari
muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

Ghazal

MuskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

Najm Aafandi

;

muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se
dad-e-sarkashi le li hum ne kaj-kulahon se

kya kahen mohabbat ka raaz kam-nigahon se
hum ne dil banae hain aansuon se aahon se

apni marifat ka hum ek din sabaq denge
dekhte chale jao ajnabi nigahon se

us ke haq ka mujrim hun phir bhi us ki rahmat hai
KHud bacha liya mujh ko mubtazil gunahon se

farsh par hai taKHt un ka arsh par dimagh apna
kya faqir rahte hain dab ke baadshahon se

sare masale hal hain maslak-e-mohabbat mein
un ki rah milti hai be-shumar rahon se

'najm' ye nishani hai ahl-e-dil ki duniya mein
hum ko KHas nisbat hai gham ki bargahon se