muskuraega magar baat nahin manega
dekh lo kar ke mulaqat nahin manega
aap se mangega har shai ki dalil-e-mohkam
ye fasane ye riwayat nahin manega
qaul de dega to jaan de ke nibhaega use
chahe kaise bhi hon haalat nahin manega
pesh karne mein jise jazba-e-iKHlas na ho
aise tohfe ko wo saughat nahin manega
abr sahra pe barasta hai to barse jam kar
chand bundon ko wo barsat nahin manega
yun to ikram karega wo sabhi ka lekin
sab ko minjumla-e-sadat nahin manega
us se rudad-e-gham-e-dil main kahun kaise 'tufail'
jab yaqin hai ki wo bad-zat nahin manega
Ghazal
Muskuraega magar baat nahin manega
Tufail Ahmad Madni