muskura kar aashiqon par mehrbani kijiye
bulbulon ki pas-e-KHatir gul-fishani kijiye
ishq ne az-bas diya hai zard-rangi ka riwaj
arghuwani aansuon kun zafrani kijiye
mai-kash-e-gham kun shab-e-mahtab hai mu-e-safed
mausam-e-piri mein saman-e-jawani kijiye
hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yar
nind to jati rahi hai qissa-KHwani kijiye
yar-e-jaani to zamane mein nipaT kam-yab hain
kijiye dushman agar apna to jaani kijiye
mat ho ai dil tun sada bulbul hazaron phul ka
ek baqi bujhiye baqi kun fani kijiye
sab samundar muttafiq ho mujh kun kahte hain 'siraj'
shola-ru ke wasf mein aatish-bayani kijiye
Ghazal
Muskura kar aashiqon par mehrbani kijiye
Siraj Aurangabadi