mushtail ho gaya wo ghuncha-dahan danista
aa gai lafzon mein kyun us ke chubhan danista
jab bhi laya hai wo mathe pe shikan danista
yun laga jaise hua chand-gahan danista
Thes lagti hai ana ko to baras paDte hain
lab-kusha hote nahin ahl-e-suKHan danista
sar-bulandi hamein manzur thi haq ki KHatir
is liye chum liye dar-o-rasan danista
jitne bhi ahl-e-siyasat hain watan-dushman hain
sab ne phunka hai mohabbat ka chaman danista
ye bhi sach inT ka patthar se diya hum ne jawab
ye bhi sach bair hai un se na jalan danista
is se behtar kahan izhaar-e-gham-e-dil karte
yun tarasha kiye lafzon ke badan danista
us se dushman hi nahin maut bhi katraegi
jis ne bhi bandh liya sar se kafan danista
shayad is daur ki tahzib ko ghairat aae
hum ne chheDi hai hikayat-e-kuhan danista
jis ko wo chahe ata kar de ye wasf-e-taqdis
kaun pata hai ghazal kahne ka fan danista
sahme sahme se hain peDon pe parinde ai shams'
us ne gholi hai fazaon mein ghuTan danista
Ghazal
Mushtail ho gaya wo ghuncha-dahan danista
Shams Ramzi