mushtaq hi dil barson us ghuncha-dahan ka tha
yaro mere aur us ke kab rabt suKHan ka tha
wan baalon mein wo mukhDa jata tha chhupa kam kam
yan hashr mere dil par ek chand gahan ka tha
the KHatt-e-shikasta ki ruKHsar tere talim
az-bas-ke hujum un par zulfon ki shikan ka tha
parwane ki himmat ke sadqe mein ki di shab wo
is be-par-o-baali par qurban lagan ka tha
aaKHir ko hamein zalim pamal kiya tu ne
andesha hamein dil mein tere hi chalan ka tha
main us qad o aariz ko kar yaad bahut roya
mazkur gulistan mein kuchh sarw-o-saman ka tha
jun ashk-e-sar-e-mizhgan hum phir na nazar aae
az-bas-ke yahan waqfa ek chashm-e-zadan ka tha
do phul koi rakh kar guzra tha jo kal yan se
turbat pe meri bulwa murghan-e-chaman ka tha
jis murgh-e-chaman ko main dekha to chaman mein bhi
hasrat-kash-e-nazzara us rashk-e-chaman ka tha
shab dekh mah-e-taban tha 'mushafi' tu hairan
kya is mein bhi kuchh naqsha us sim-badan ka tha
Ghazal
Mushtaq hi dil barson us ghuncha-dahan ka tha
Mushafi Ghulam Hamdani