mushkilon mein muskurana sikhiye
phul banjar mein ugana sikhiye
jo chale parcham uTha kar dosto
sath is ka hi nibhana sikhiye
khiDkiyon se jhankna be-kar hai
barishon mein bhig jaana sikhiye
aandhiyan jab de rahi hon dastaken
tab diye ki lau bachana sikhiye
tak par dhar ke usulon ko kabhi
nam apna mat kamana sikhiye
KHamushi se aaj sunta kaun hai
shor mahfil mein machana sikhiye
Daliye dariya mein yun mat nekiyan
ab bhala karke jatana sikhiye
tan ke rakhiye ise har-dam magar
us ke dar pe sar jhukana sikhiye
un ki yaadon se hui nam aankh ko
aap duniya se chhupana sikhiye
Ghazal
Mushkilon mein muskurana sikhiye
Neeraj Goswami