mushkil ye aa paDi hai ki gardish mein jam hai
ai hosh warna mujh ko tera ehtiram hai
fursat ka waqt DhunDh ke milna kabhi ajal
tujh ko bhi kaam hai abhi mujh ko bhi kaam hai
aati bahut qarib se KHushbu hai yar ki
jari idhar udhar hi kahin daur-e-jam hai
kuchh zahr ko taraste hain kuchh mai mein gharq hain
saqi ye teri bazm ka kya intizam hai
mai aur haram? hazrat-e-zahid KHuda ka KHauf
wo to kaha gaya tha ki masti haram hai
ai zulf-e-ambarin zara lahra ke phailna
ek raat is chaman mein mera bhi qayam hai
ai zindagi tu aap hi chupke se dekh le
jam-e-adam pe likkha hua kis ka nam hai
Ghazal
Mushkil ye aa paDi hai ki gardish mein jam hai
Abdul Hamid Adam