mushkil us kuche se uThna ho gaya
hashr bhi naqsh-e-kaf-e-pa ho gaya
dekh waiz mujh ko main kya ho gaya
aadmi tha pi farishta ho gaya
aur hi wadi wo hai ai ahl-e-tur
qais jis mein ja ke laila ho gaya
shaKH mein jab tak ye hai angur hai
shaiKH ne toDa ki mina ho gaya
tum ko samjha hur tera gor mein
ai farishto mujh ko dhoka ho gaya
munh jo kabe mein khula waqt-e-azan
band naqus-e-kalisa ho gaya
mai-kada waiz se ab chhuTta nahin
baad-e-paima baada-paima ho gaya
ai buto allah ko saunpa tumhein
but-kada sunta hun kaba ho gaya
bagh tak jate bhi hain aate bhi hain
ab qafas to ghar hamara ho gaya
aaega pine-pilane ka maza
parsa ab baada-paima ho gaya
maut aai aap ka munh dekh kar
aap ka bimar achchha ho gaya
Dub jaen tare wo tufan kahan
ashk to aankhon ka tara ho gaya
rang badla kya zamane ne 'riyaz'
dekhte hi dekhte kya ho gaya
Ghazal
Mushkil us kuche se uThna ho gaya
Riyaz Khairabadi