mushkil to na tha aisa bhi aflak se rishta
toDa hi nahin hum ne magar KHak se rishta
har subh ki qismat kahan ruKHsar ki lali
har shab ka kahan dida-e-namnak se rishta
baKHshi hai tujhe jis ne KHad-o-KHal ki daulat
hai mere badan ka bhi isi chaak se rishta
chhoDa hai kise fikr ke dariya ne salamat
ras aaya kise mauja-e-idrak se rishta
'shahbaz' main dharti se hun mansub kuchh aise
jaise ki kisi jism ka poshak se rishta
Ghazal
Mushkil to na tha aisa bhi aflak se rishta
Shahbaz Khwaja