mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata
tum baat to karte koi rasta nikal aata
ghar se jo mere sona ya paisa nikal aata
kis kis se mera KHun ka rishta nikal aata
mere liye ai dost bas itna hi bahut tha
jaisa tujhe socha tha tu waisa nikal aata
main joD to deta teri taswir ke TukDe
mushkil tha ki wo pahla sa chehra nikal aata
bas aur to kya hona tha dukh-dard suna kar
yaron ke liye ek tamasha nikal aata
aisa hun main is waste chubhta hun nazar mein
socho to agar main kahin waisa nikal aata
achchha hua parkha nahin 'amabar' ko kisi ne
kya jaaniye kya shaKHs tha kaisa nikal aata
Ghazal
Mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata
Ambar Kharbanda