اردو हिंदी
Mushkil hai ki ab shahr mein nikle koi ghar se | Shaahi Shayari
mushkil hai ki ab shahr mein nikle koi ghar se

Ghazal

Mushkil hai ki ab shahr mein nikle koi ghar se

Parveen Shakir

;

mushkil hai ki ab shahr mein nikle koi ghar se
dastar pe baat aa gai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ek umr mere khet the jis abr ko tarse

kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai
chiDiyon ko baDa pyar tha us buDhe shajar se

mehnat meri aandhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

KHud apne se milne ka to yara na tha mujh mein
main bhiD mein gum ho gai tanhai ke Dar se

be-nam masafat hi muqaddar hai to kya gham
manzil ka tayyun kabhi hota hai safar se

pathraya hai dil yun ki koi ism paDha jae
ye shahr nikalta nahin jadu ke asar se

nikle hain to raste mein kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar aaega is rahguzar se