musalsal ashk-bari ho rahi hai
meri miTTi bahaari ho rahi hai
diye ki ek lau aur taKHta-e-shab
ajab surat-nigari ho rahi hai
ye mera kuchh na hona darj kar lo
agar mardum-shumari ho rahi hai
main jugnu aur tu itni baDi raat
zara si chiz bhaari ho rahi hai
bahut bhaari hain ab miTTi ki palken
badan par nind tari ho rahi hai
ye bahar shor kaisa ho raha hai
ye kaisi mara-mari ho rahi hai
zara hathon mein mere hath dena
baDi be-aKHtyari ho rahi hai
hum apne aap se bichhDe hue hain
tabhi to itni KHwari ho rahi hai
wahi phir yak-qalam mansuKH hun main
kitab-e-ishq jari ho rahi hai
kahan rakh aae wo sada-libasi
ye kya goTa kanari ho rahi hai
nahin hoti ye harjai kisi ki
to kyun duniya hamari ho rahi hai
sunao sher apne 'farhat-ehsas'
ye shab kya KHub qari ho rahi hai
Ghazal
Musalsal ashk-bari ho rahi hai
Farhat Ehsas