اردو हिंदी
Musalman ghaur kar kyun aaj teri | Shaahi Shayari
musalman ghaur kar kyun aaj teri

Ghazal

Musalman ghaur kar kyun aaj teri

Anisa Begum

;

musalman ghaur kar kyun aaj teri
wo pahli aabru baqi nahin hai

masaib ghair ke pesh-e-nazar hain
ragon mein wo lahu baqi nahin hai

ghazab hai bhai ka dushman hai bhai
uKHuwwat ki wo KHu baqi nahin hai

masaib ghair kai pesh-e-nazar hain
KHud apni justuju baqi nahin hai

kiya pairahan-e-din is tarah chaak
ki ab ja-e-rafu baqi nahin hai

anadil kyun na hun dil-gir-o-KHamosh
gulon mein rang-o-bu baqi nahin hai

zabanon par to hai allah allah
dilon mein hae tu baqi nahin hai