musafiron ke ye wahm-o-guman mein tha hi nahin
ki rahbar to koi karwan mein tha hi nahin
sawal ye hai ki phir aag lag gai kaise
koi diya to andhere makan mein tha hi nahin
uTha liye gae hathiyar phir tahaffuz ko
ki shahr-e-amn mein koi aman mein tha hi nahin
to lazima use aana tha is zamin par hi
ki aadmi ka guzar aasman mein tha hi nahin
sunai main ne to mujh se KHafa hue kyun log
kisi ka nam meri dastan mein tha hi nahin
to kis sabab se ghalat-fahmiyan huin paida
ba-juz hawa to koi darmiyan mein tha hi nahin
wo jis se shahr-e-'tasawwur' mein raushni hoti
sitara aisa koi aasman mein tha hi nahin
Ghazal
Musafiron ke ye wahm-o-guman mein tha hi nahin
Yaqoob Tasawwur