musafiron ka kabhi e'tibar mat karna
jahan kaha tha wahan intizar mat karna
mein nind hun meri had hai tumhaari palkon tak
badan jala ke mera intizar mat karna
mein bach gaya hun magar sare KHwab Dub gae
meri tarah bhi samundar ko par mat karna
baha lo apne shahidon ki qabr par aansu
magar ye hukm hai katbe shumar mat karna
hawa aziz hai lekin ye us ki zid kya hai
tum apne ghar ke charaghon ko pyar mat karna
ye waqt band darichon pe likh gaya 'qaisar'
main ja raha hun mera intizar mat karna
Ghazal
Musafiron ka kabhi etibar mat karna
Qaisar-ul-Jafri