musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the
wo hum the jo charaghon ko munawwar chhoD jate the
sabhi ko agle farsangon ki paimaish muqaddar thi
musafir tai-shuda milon ke patthar chhoD jate the
garajte-gunjte aate the jo sunsan sahra mein
wahi baadal ajab viran manzar chhoD jate the
na thin malum bhuki nasl ki majburiyan un ko
phaTi chadar wo talwaron ke upar chhoD jate the
nahin kuchh e'tibar ab qufl o darban ka kabhi hum bhi
paDosi ke bharose par khula ghar chhoD jate the
lahu par apne hi mauquf thi dharti ki zarKHezi
sabhi dahqan yahan kheton ko banjar chhoD jate the
kabhi aandhi ka KHadsha tha kabhi tufan ka andesha
wo registan le jate to sagar chhoD jate the
Ghazal
Musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the
Nashtar Khaanqahi