murjhae hue phir gul-e-tar dekh rahi hun
na-qadri-e-arbab-e-hunar dekh rahi hun
phir chashm-e-taghaful se teri hashr bapa hai
main gardish-e-dauran ki nazar dekh rahi hun
mizhgan pe larazte hue ashkon ke diye hain
wawasta-e-jaan barq-o-sharar dekh rahi hun
kya husn-e-basarat mein basirat ki kami hai
kuchh ahl-e-nazar chaak-e-jigar dekh rahi hun
pindar-e-wafa tamkanat-e-hosh KHabar-dar
aflak pe dharti ke qamar dekh rahi hun
ab tak ye riwayat-e-kuhan jag rahi hain
kuchh lal-o-gohar KHak-basar dekh rahi hun
kuchh teri nigahon ne dikhaya hai tamasha
kuchh turfa zamane ka asar dekh rahi hun
tasKHir-e-mah-o-mehr ke ba-wasf 'aziz' aaj
ujDe hue KHamosh nagar dekh rahi hun
Ghazal
Murjhae hue phir gul-e-tar dekh rahi hun
Aziz Badayuni