murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh
suraj hun mera rang magar din-Dhale bhi dekh
kaghaz ki katranon ko bhi kahte hain log phul
rangon ka e'tibar hi kya sungh ke bhi dekh
har chand rakh ho ke bikharna hai rah mein
jalte hue paron se uDa hun mujhe bhi dekh
dushman hai raat phir bhi hai din se mili hui
subhon ke darmiyan hain jo fasle bhi dekh
aalam mein jis ki dhum thi us shahkar par
dimak ne jo likhe kabhi wo tabsire bhi dekh
tu ne kaha na tha ki main kashti pe bojh hun
aankhon ko ab na Dhanp mujhe Dubte bhi dekh
us ki shikast ho na kahin teri bhi shikast
ye aaina jo TuT gaya hai ise bhi dekh
tu hi barhana-pa nahin is jalti ret par
talwon mein jo hawa ke hain wo aable bhi dekh
bichhti thin jis ki rah mein phulon ki chadaren
ab us ki KHak ghas ke pairon-tale bhi dekh
kya shaKH-e-ba-samar hai jo takta hai farsh ko
nazren uTha 'shakeb' kabhi samne bhi dekh
Ghazal
Murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh
Shakeb Jalali