murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen
hadis-e-dard-e-mohabbat ka zauq aam karen
yahi minnat-e-aram ye muqaddar hai
ghamon ki dhup mein rahat ka ehtimam karen
abhi na den hamein ilzam bewafai ka
KHud apne wadon ka kahiye wo ehtiram karen
jo tishna-kaam tere mai-kade mein hon saqi
mere lahun se wo labrez apne jam karen
abhi na jeb na daman na aastin ka pata
yaqin-e-mausam-e-gul ho to intizam karen
unhin ke lab pe hai amn-o-amin ka afsana
wahi jo hazrat-e-insan ka qatl-e-am karen
guman se ahd-e-yaqin tak sukun ki ho duniya
KHushi ke sath jo gham ka bhi ehtimam karen
mazaq-e-ahl-e-gulistan jo sath de jae
qafas-nasibon ki yaadon ka ehtiram karen
ye daur-e-hashr nahin hai to aur kya hai 'amin'
kise pukaren yahan kis ko ham-kalam karen
Ghazal
Murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen
Ameen Saloni