murda ragon mein KHun ki garmi kahan se aai
thi shaKH sabz phul mein surKHi kahan se aai
ye umr-e-raegan ye safar KHwab mein kaTa
phir ye thakan ye panw pe miTTi kahan se aai
diwar KHun-chakan na mera zaKHm-e-sar hai surKH
ye maslahat bata dil-e-wahshi kahan se aai
main sulh jo hua ghalat ilzam se KHafa
ab puchhte ho baat mein talKHi kahan se aai
ilzam tum pe hai lab-e-goya gurez ka
bebak ho to phir ye KHarabi kahan se aai
mujh jaisa kam-suKHan bhi hai is bar saKHt-go
is sust aab-ju mein rawani kahan se aai
khilta hai mausamon ke taghayyur ka mujh se rang
aaKHir mere KHamir ki miTTi kahan se aai

Ghazal
Murda ragon mein KHun ki garmi kahan se aai
Saleem Shahid