اردو हिंदी
Murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha | Shaahi Shayari
murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha

Ghazal

Murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha

Irfan Siddiqi

;

murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha
wo aadmi tha ghalat-fahmiyan bhi rakhta tha

bahut dinon mein ye baadal idhar se guzra hai
mera makan kabhi saeban bhi rakhta tha

ajib shaKHs tha bachta bhi tha hawadis se
phir apne jism pe ilzam-e-jaan bhi rakhta tha

Dubo diya hai to ab is ka kya gila kije
yahi bahao safine rawan bhi rakhta tha

tu ye na dekh ki sab Tahniyan salamat hain
ki ye daraKHt tha aur pattiyan bhi rakhta tha

har ek zarra tha gardish mein aasman ki tarah
main apna panw zamin par jahan bhi rakhta tha

lipaT bhi jata tha aksar wo mere sine se
aur ek fasla sa darmiyan bhi rakhta tha