murawwat ka pas aur wafa ka lihaz
kare aashna aashna ka lihaz
dam-e-sajda sar saKHt tha be-adab
kiya kuchh na us naqsh-e-pa ka lihaz
na mahrum rakh mujh ko husn-e-qubul
rahe kuchh to dast-e-dua ka lihaz
wo hain pas ab bas kar ai dard-e-dil
kare kuchh maraz bhi dawa ka lihaz
milai na 'wahshat' kabhi us se aankh
mujhe tha jo us ki haya ka lihaz

Ghazal
Murawwat ka pas aur wafa ka lihaz
Wahshat Raza Ali Kalkatvi