muqayyad zat ke andar nahin main
charagh-e-gumbad-e-be-dar nahin mein
mujhe bhi rasta de bahr-e-KHilqat
kisi firaun ka lashkar nahin main
tu sustane ko Thahra hai yaqinan
teri parwaz ka mehwar nahin main
rahe kaise musalsal ek mausam
kisi taswir ka manzar nahin main
tu jab chahe mujhe tasKHir kar le
tere imkan se bahar nahin main
wo phir aaya hai 'rahat' sulh karne
koi kah de use ghar par nahin main
Ghazal
Muqayyad zat ke andar nahin main
Rahat Sarhadi