muqarrar waqt se pahle samajhdari nahin aati
na aani ho kisi ko gar to fankari nahin aati
jhukana sikhna paDta hai sar logon ke qadmon mein
yunhi jamhuriyat mein hath sardari nahin aati
chalate hain agar talwar ye to kya tajjub hai
karenge aur kya jin ko qalam-kari nahin aati
siyasi aandhiyon se aag lagni ghair-mumkin thi
kahin se uD ke mazhab ki jo chingari nahin aati
kyun baDhti ja rahi hai bhuk daulat ki zamane mein
tabibon ki samajh ek ye bhi bimari nahin aati
sabhi se hum adab se aur hans ke baat karte hain
hamein is se ziyaada bas adakari nahin aati
bujhana bhul jaen kaise jalti battiyan ghar ki
hamare ghar ai hakim bijli sarkari nahin aati
teri bebakiyan 'jaanib' yahi tasdiq karti hain
har ek insan ko duniya mein hushyari nahin aati
Ghazal
Muqarrar waqt se pahle samajhdari nahin aati
Mahesh Janib