اردو हिंदी
Muqaddar mein sahil kahan hai miyan | Shaahi Shayari
muqaddar mein sahil kahan hai miyan

Ghazal

Muqaddar mein sahil kahan hai miyan

Abid Munavari

;

muqaddar mein sahil kahan hai miyan
meri naw be-baadban hai miyan

jo barq-e-tapan se munawwar rahe
wahi aashiyan aashiyan hai miyan

kahan jaiye mai-kada chhoD kar
yahi ek ja-e-aman hai miyan

abad tak mukammal na ho paegi
shab-e-gham ki ye dastan hai miyan

kahan paon rakkhun pareshan hun
zamin surat-e-asman hai miyan

muqaddas sahi karobar-e-wafa
magar is mein nuqsan-e-jaan hai miyan

ajab phiki phiki si hai chandni
udas aaj kyun chandraman hai miyan

jahan dil ke badle mein milta hai dil
wo duniya na jaane kahan hai miyan

nahin mujh se 'abid' wo kuchh KHas dur
faqat zindagi darmiyan hai miyan