اردو हिंदी
Muqaddar apna bargashta muKhaalif aasman apna | Shaahi Shayari
muqaddar apna bargashta muKhaalif aasman apna

Ghazal

Muqaddar apna bargashta muKhaalif aasman apna

Shankar Lal Shankar

;

muqaddar apna bargashta muKHalif aasman apna
wo kya ruTha ki dushman ho gaya sara jahan apna

ilahi ho gaya be-wajh dushman baghban apna
kahan le jaen gulshan se uTha kar aashiyan apna

bigaD jae na gulchin hai zamane ki hawa bigDi
banaya to hai bulbul shaKH-e-gul par aashiyan apna

fasana ban ke apna ishq duniya ki zaban par hai
diya tha hum ne dil tum ko samajh kar raaz-dan apna

wafa ki qadar kya hoti sitam ke ho gae KHugar
banaya un ko dushman hum ne de kar imtihan apna

KHuda ki zat par hum ko to ai 'shankar' bharosa hai
bala se dushman-e-jaan ho jo hai sara jahan apna