muqable to ghalat-fahmiyan baDhate hain
ye walwale to ghalat-fahmiyan baDhate hain
qarib aao to shayad samajh mein aa jae
ki fasle to ghalat-fahmiyan baDhate hain
hai mere sath mere dushmanon se rabt unhen
ye silsile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
agar hai koi shikayat to mil ke baat karo
murasile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili
ye faisle to ghalat-fahmiyan baDhate hain
jo rahzanon ka taawun qubul karte hain
wo qafile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
tanazeat mein behtar hai sulh kar lena
nae gile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
ye laghzishon ka tasalsul ye mazarat paiham
ye marhale to ghalat-fahmiyan baDhate hain
charagh-e-haq hain to KHamosh kyun hain wo 'razmi'
bina jale to ghalat-fahmiyan baDhate hain

Ghazal
Muqable to ghalat-fahmiyan baDhate hain
Muzaffar Razmi