اردو हिंदी
Muqabla ho to sine pe war karta hai | Shaahi Shayari
muqabla ho to sine pe war karta hai

Ghazal

Muqabla ho to sine pe war karta hai

Khalid Mahmood

;

muqabla ho to sine pe war karta hai
wo dushmani bhi baDi pur-waqar karta hai

jo ho sake to use mujh se dur hi rakhiye
wo shaKHs mujh pe baDa e'tibar karta hai

nagar mein us ki bahut dushmani ke charche hain
magar wo pyar bhi diwana-war karta hai

main jis KHayal se daman-kashida rahta hun
wahi KHayal mera intizar karta hai

shikayaten use jab doston se hoti hai
to doston mein hamein bhi shumar karta hai